Tuesday, December 4, 2012

Dilse zubaan tak



Dur rehkar paas hone ka khyal hai tu
Paas hokar dur rehne ka ehsaas hai tu
Fir bhi tujhse pyar karun main,
Mere jeena ki wajah jo hai tu

Teri har adaa se maine pyar kiya
Tujhe apna darpan bana liya
Fir kyun apna aks dhondu main,
Jab maine tujhe apna khuda bana liya

Kal shayad yeh samaa na rahe,
Masti karni ki meri umar na rahe,
Tu mere paas hokar bhi bas ek ehsaas rahe,
Aaj Jeena chahti hoon tere sath main,
Kal shayad yeh zindgi na rahe

Thursday, September 1, 2011

Papa-

Papa bhi ajeeb hote hai,
Dekhne mei bhale hi kitne bhi dur ho
Par utne hi dil ke utne hi kareeb hote hai,
Papa bhi kitne ajeeb hote hai

Mana ghanto nahi bitate mummy ki tarah,
Par do ghante mei pura update le lete hai
kabhi hum unke office se aane ki rah dekha karte the,
Aaj woh humara intezaar kiya karte hai
Papa bhi kitne ajeeb hote hai
Dil ke bahut kareeb hote hai

Manna ki unki daant yaad hai aaj bhi,
Par Galards ka dinner bhi humei nahi bhule kabhi,
Jo kehte the woh tabhi,
Samajh aaya hai humei abhi,

Papa bhi kitne ajeeb hote hai,
Dil ke bahut kareeb hote hai

Aaj samajh aaya hai,
Rajkumariya woh nahi jo mahalon mei raha karti hai,
Pariyan to woh hai jo babul ke dil mei basa karti hai,
Kabhi door se hum par nazar rakhte hai,
Kabhi raat bhar taange dabba kar sewa kiya karte hai
Papa bhi kitne ajeeb hua karte hai
Humse door bhale kyun na ho
Dil ke humesha kareeb hote hai

Tuesday, August 30, 2011


Chand ki kahani sunati thi,
Lal bistar par .sulati thi,
Subhah jaldi uthano ko puri raat who jagti thi,
Woh khushiya hi alag thi,
Jab maa humare sang thi,
Ab door who rehti hai,
“Theek hoon” woh kehti hai,
Kaise na samjhoon main uske dil ka haal,
Bhool jati hai woh ki woh mere dil main rehti hai

Love You Maa

Saturday, August 27, 2011

Aisi hai meri maa


Maa ka aanchal aaj bhi yaad aata hai,
Woh has kar humare mushkilo suljha deti thi,
Humei papa ki daant se bachaa leti thi,
Aur kabhi bhook na bhi ho to bhi khila deti thi,


Bachpan chahe choot gaya,
Par ma aka aanchal kabhi na choota,
Aaj bhi intezaar karti hai meri maa,
Bin kuch kahe bhi sab samajh leti hai meri maa

Monday, August 22, 2011

Jaa rahe ho dur humse, Nikaal na payoge apne dilse

Friends Forever
Maana dur tu chali jayegi,      
par humein bhool na payegi,
kabhi akele mei yaad to tujhe bhi humari ayegi,
chalke teri ankh se bhi aansu jab aankhe humari bhar aayengi

Jab dur tu chali jayegi,
Yaadei sath bitayei palon ki tujhe  bhi satayeigi,
tab HAYYO RABBO kehe bina tu bhi na reh payegi
Mana dur tu chali jayegi
par humein bhool na payegi